Sunday, 25 September 2011

chithi aaii hai, pankaj udhas, (film: naam, 1986)

Chithi Aaii Hai Aaii Hai Chithi Aaii Hai
Chithi Hai Vatan Se Chithi Aayii Hai
Bade Dinon Ke Baad, Ham Bevatanon Ko Yaad
Vatan Kii Mittii Aaii Hai, Chithi Aaii Hai

Uupar Meraa Naam Likhaa Hain, Andar Ye Paigaam Likhaa Hain
O Parades Ko Jaane Vaale, Laut Ke Phir Naa Aane Vaale
Saat Samundar Paar Gayaa Tuu, Hamako Zindaa Maar Gayaa Tuu
Khuun Ke Rishte Tod Gayaa Tuu, Aankh Men Aansuu Chhod Gayaa Tuu
Kam Khaate Hain Kam Sote Hain, Bahut Zyaadaa Ham Rote Hain, Chithi

Suunii Ho Gain Shahar Kii Galiyaan, Kaante Ban Gain Baag Kii Kaliyaan
Kahate Hain Saavan Ke Jhuule, Bhuul Gayaa Tuu Ham Nahiin Bhuule
Tere Bin Jab Aaii Diivaalii, Diip Nahiin Dil Jale Hain Khaali
Tere Bin Jab Aaii Holii, Pichakaarii Se Chhuutii Golii
Piipal Suunaa Panaghat Suunaa Ghar Shamashaan Kaa Banaa Namuunaa
Fasal Katii Aaii Baisaakhii, Teraa Aanaa Rah Gayaa Baakii, Chithi

Pahale Jab Tuu Kat Likhataa Thaa Kaagaz Men Cheharaa Dikhataa Thaa
Band Huaa Ye Mel Bhii Ab To, Khatam Huaa Ye Khel Bhii Ab To
Dolii Men Jab Baithii Bahanaa, Rastaa Dekh Rahe The Nainaa Main To Baap Huun Meraa Kyaa Hai, Terii Maan Kaa Haal Buraa Hai
Terii Biivii Karatii Hai Sevaa, Suurat Se Lagatii Hain Bevaa
Tuune Paisaa Bahut Kamaayaa, Is Paise Ne Desh Chhudaayaa
Panchhii Pinjaraa Tod Ke Aajaa, Desh Paraayaa Chhod Ke Aajaa
Aajaa Umar Bahut Hai Chhotii, Apane Ghar Men Bhii Hain Rotii, Chithi

Sunday, 18 September 2011

kabhi alvida na kehna, (rm + srk)...never say goodbye!

http://www.youtube.com/watch?v=lCWJ1SnqDMY

Tumko bhi hai khabar - You also know
Mujhko bhi hai pata - I also know
Ho raha hai judaa dono ka raasta - Our ways are getting separated
Door jaa ke bhi mujhse - Even going away from me
Tum meri yaadon mein rehna - You stay in my memories
Kabhi alvida na kehna (3) - Never say goodbye

Tumko bhi hai khabar - You also know
Mujhko bhi hai pata - I also know
Ho raha hai judaa dono ka raasta - Our ways are getting separated
Door jaa ke bhi mujhse - Even going away from me
Tum meri yaadon mein rehna - You stay in my memories
Kabhi Alvida Na Kehna (3) - Never say goodbye

Jitni thi khushiyan sab kho chuki hai - Whatever happiness there was its all gone
Bas ek gham hai ke jaata nahi - Just the sadness wont go away
Samjha ke dekha behela ke dekha - I tried to make it understand
Dil hai chain isko aata nahi...aata nahi - This heart does not receive any peace
Aasoon hai ke hai angaarey, aag hai ab aankhon se behena - Are these tears or bolts of flame, fire now floats through these eyes
Kabhi alvida na kehna (3) - Never say goodbye

Rut aa rahi hai, rut jaa rahi hai - Seasons have come, seasons have gone
Dard ka mausam badla nahi - The weather of pain has not changed
Rang yeh gham ka itna hai gehera - The color of sadness is so deep
Saadiyon bhi hoga halka nahi...halka nahi - Even after years it will not get lesswill not get less
Kaun jaane kya hona hai - Who knows what will happen
Humko hai ab kya kya sehena - What more do I have to go through
Kabhi Alvida...Kabhi Alvida Na Kehna (2) - Never say goodbye

Tumko bhi hai khabar - You also know
Mujhko bhi hai pata - I also know
Ho raha hai judaa dono ka raasta - Our ways are getting separated
Door jaa ke bhi mujhse - Even going away from me
Tum meri yaadon mein rehna - You stay in my memories
Kabhi Alvida Na Kehna (5) - Never say goodbye