Friday 23 March 2012

aisa pyar baha de maiya

aisa pyar baha de maiya
charon se lag jao mein
sab andhakar mita de maiya
darash tera kar pao mein

jag mein aakar jag ko maiya
ab tak na pehchan saka
kyon aaya hoon kahan hai jana
yeh bhi na mein jaan saka
tu hai agam agochar maiya

kar kripa jagdumbe bhawani
mein balak nadaan hoon
nahi aradhan jap tap janu
mein avgun ki khaan hoon
de aisa vardan hey maiya
sumiran tera gaoon mein

mein balak tu maiya meri
nishdin teri oat hai
teri kripa hi se mitegi
bheetar jo bhi khot hai
sharan laga lo mujhko maiya
tum par bali bali jaoon mein

No comments: